47th E-AUCTION jo ki MPEG4 slots ke liye announce hua tha. Uska result declare kar diya gya h. Jo ki PRASAR BHARTI ki website se dekha ja sakta h. Last E-AUCTION jo MPEG4 ke liye kiya gya tha, usme total 15 new channels add kiye gye the. Jinme se 3 ITV Network ke channels ko remove kar diya gya. Jiske baad hi 47th E-AUCTION Announce kiya gya.
47th E AUCTION me winner 3 channels me se ek h ANB NEWS. Jo ki Punjab based Hindi News channel h. 2nd channel ka name h ARYAN TV NATIONAL. Jo ki Bihar based hindi news channel h. Isko aap pahle bhi DD FREE DISH par dekh paate the. Lekin baad me ye remove ho gya tha. Ab fir se aap isko DD FREE DISH par dekh paoge. 3rd channel h NEWS INDIA 24*7, JO RAJASTHAN based hindi news channel h.
MPEG4 slots ke ye 3 channels 01 September se DD FREE DISH ke MPEG4 slots me add ho jayenge. Jinka license 31 March 2021 tak chalega. Abhi DD FREE DISH ke mpeg4 slots kewal 3 hi vacant the inke baad sabhi MPEG4 ke 22 slots fill ho jayenge.