Prasar Bharti OTT App Auction For New Channels

Rate this post

Prasar Bharti ne OTT Platform par new channels launch karne ke liye ek notice announce kiya h. Jiske according koi bhi channels Prasar Bharti ke OTT platform par apna channel launch kar sakta h. Jaise DD Free Dish ke liye annual E Auction dekhne ko milta h, Vaise hi OTT app ke liye channels ko invite kiya gaya h.

Prasar Bharti OTT App –

Prasar Bharti OTT app ke bare me abhi clear nahi h ki konsa ye platform hoga. Lekin PB ki ek app running me h News On Air. Jaha par hume news content ke sath sath LIVE RADIO or LIVE TV dekhne ko milte h.

Ho sakta h ki prasar bharti apni is app ko OTT app me convert kar de. Abhi aapko yaha par DD ke channels dekhne ko milenge. Lekin jaise hi Private channels include honge to Prasar Bharti iske regarding bhi ek notification jaari karegi.

Prasar Bharti OTT Auction Date –

Jo notification jaari kiya gaya h. Uske according koi bhi channel participate kar sakta h. Channel ko ek application submit karwani hogi. Jiski last date 12 August 2024 ko Evening me 05.00PM tak rahegi. Abhi prasar bharti ne clear nahi kiya h ki jis channel ko OTT par include kiya jayega, usko telecast karne ki konsi date rahegi.

Channel ko 1 year ka licence diya jayega. Jisme advertisement ka jo bhi revenue hoga usme se 35% prasar bharti legi. Baaki 65% channel ka rahega. 1 Saal ke baad fir se same process dekhne ko milegi.

 How Many Channels Available On Prasar Bharti OTT Platform –

Abhi Prasar Bharti ne sabhi private channels ko participate karne ke liye letter jaari kiya h. Yaha par kaha ja sakta h ki jo bhi Free To Air Channels available h wo sabhi yaha par participate kar sakte h.

Jo channels DD Free Dish par available nahi h wo bhi yaha par dekhne ko mil jayega. Bas wait karna hoga Prasar bharti ke next channels regarding notice ka. Jisme OTT par aane wale channels ki list hogi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *