PRASAR BHARTI ne DD FREE DISH 58th E AUCTION ko announce kiya tha. Jiske according MPEG2 slots par currently available private channels ke liye application receive ki gayi. Application submit ki last date 28 Feb @ 03.00 pm tak thi. Jiske baad mili information keaccording Mpeg2 slots ke liye total 65 to 70 Application submit ki ja chuki h.
58th ONLINE E AUCTION DATE –
DD FREE DISH par currently available sabhi private channels ke license ko 31 Mar 2022 ko end kar diya jayega. Jiske baad 01 April se 58th E Auction ke winner channels ko add kiya jayega. 58th online e auction ko start karne ki date 07 March 2022 fix h. Jisko complete hone me kam se kam 5-6 din lag sakte h. Then PRASAR BHARTI Mpeg2 slots ke winner channels ke name announce karegi. But during E Auction hum aapko winner channels ko batate rahenge.
PARTICIPATING CHANNELS –
According to information, currently 70 ke kareeb channels ne participate kiya h. Jinme sabhi GEC, Movies or regional channels include h. GEC list me currently available channels ke name hi dekhne ko mil rahe h. Agar new application ki baat kare to 2 new application ke bare me hi information mili h. Jinme FOOD FOOD, THE Q MARATHI, POPCORN MOVIES or SHEMAROO KIDS ke name dekhne ko mile h.
Food Food channel ne last annual e auction me bhi participate kiya tha. Lekin winner nahi ho paya. So ek bar fir se e auction ki race me participate kar chuka h. Shemaroo Kids channel new opening channel h. Jisko abhi tak launch nahi kiya gaya h. Agar isne participate kiya h, to jald hi is channel ki testing GSAT30 @ 83e satellite par dekhne ko mil jayegi.
TOTAL AVAILABLE VACANT SLOTS –
DD FREE DISH par MPEG2 slots kewal 94 h. Jinme se 63 channels private add kiye ja sakte h. Baaki sabhi Doordarshan ke channels available h. 63 slots par hi winner channels ko add kiya jayega. Aisa ho sakta h ki kuchh slot vacant rah jaye.