DD FREE DISH par 01 April se sabhi new channels add kar diye gaye h. Agar aap bhi, sabhi channels dekhna ya apne MPEG2 Box me add karna chahte ho to below steps ko follow kijiye. Complete setting ho jayegi.
Table of Contents
How To Scan DD Free Dish –
DD FREE DISH par new channels to add ho chuke h, lekin aapko un sabhi channels ke name change dekhne ko mil rahe h. Isko sahi karne ke liye aapko apni channel list ke sabhi channels remove karne honge. Below steps ko follow kijiye.
Step 1 –
Delete All program karne ke liye sabse pahle MENU Button press kijiye. Menu option me EDIT PROGRAM option select kar OK kijiye. Jaisa ki below picture me dikhaya gaya h.
Step 2 –
Edit Program ke andar aapko DELETE ALL PROGRAM select kar OK Button press kijiye. Jaise hi OK Button press karenge to ek Pop Up show hoga. Jisme ” This operation will erase all programs, continue ?” likha hoga. Then OK Button press kar dijiye. Jaisa ki below picture me dikhaya gaya h.
Step 3 –
Above step karne se aapke sabhi TV Channels delete ho jayenge. Or ek message show hoga NO TV PROGRAM. Ab aapko sabhi new channel scan karne h. Scan karne ke liye fir se MENU Button press kijiye, or PROGRAM SETUP option select kar OK kijiye. Jaisa below picture me show kiya gaya h.
Step 4 –
Program setup me aapko AUTO SCAN ka option nazar aayega. Jisko select karke remote se OK button press kijiye. Jaise hi OK press karenge , to ek pop up show hoga jaisa ki below picture me dikhaya gaya h.
Step 5 –
Auto Scan me kuchh option nazar aa rahe honge. Sabhi ko above picture ke acording fill kar dijiye. Jisme LNB Freq 09750-09750 or Scan mode FREE rakhna hoga. Aisa karne ke baad REMOTE se OK Button press kijiye. Aapke Set Top Box me sabhi channels scan hone start ho jayenge. Jaisa ki below picture me dikhaya gaya h.
DD FREE DISH par available sabhi channels aapke set top box me scan ho jayenge. Jinko aap unke name se dekh sakte ho. Sabhi users iski help se new channels ko enjoy kar sakte h. Post ko LIKE or SHARE jarur kare.
Also Read –
DD Free Dish New Channels Setting