DD Free Dish No Signal Problem Ko Kaise Sahi Kare

5/5 - (1 vote)
DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM –

DD FREE DISH no signal problem mostly unke samne aati h, Jo DD FREE DISH ka MPEG2 Set top Box use karte h. Agar aapko DD FREE DISH par No Signal ya channels par scratches dekhne ko milte h. To iske liye aapko Kuchh chhoti chhoti baaton ka dhyan rakhna hoga. Jiski step by step detail below di gayi h. Agar aap ek bhi step miss kar doge, to ho sakta h ki signal proper na mile. Vaise aap khud karna chahe to kar sakte ho, otherwise aap kisi bhi mechanic ko 150rs dekar sahi karwa sakte ho.

Below aapko MPEG2 box me setting karke dikhaya gaya h. Agar aapko MPEG4 me ye setting dekhni ho to last me jarur comment kare.

DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM SOLUTION –

No signal problem ko solve karne ke liye aapko apne antenna me lagi wire ko check karna hoga. Wire ke dono side sahi se connector lage hone chahiye.

STEP 1 –

Sabse pahle aapko apni LNB ki position check karni hogi. Mai apne area ke according LNB SKEW below picture me dikha raha hu. Jiski position -26.10° ↻ rahegi.

Mai haryana se hu, to north india or west india side me same aisi hi position rahegi. ho sakta h ki aapke area me Halka sa change dekhne ko mile. Jisko baad me sahi kiya ja sakta h. Agar aap apne area ka LNB skew dekhna chahte h, to yaha TOUCH kijiye.

STEP 2 –

Ab aapko apne set top box me setting karni hogi, taaki aap signal ko dekh sake. Sabse pahle MENU button press kar Program Setup option ko select kare.

Program Setup me ADD New Program ko select kare.

Add New Program me aapko kuch Frequency add karne ka option nazar aayega.

STEP 3 –

Aapko yaha par complete frequency put karni hogi. Jaisa ki below picture me dikhaya gaya h. Vaise hi aap apne box me add kar lijiye.

STEP 4 –

Frequency put kar lene ke baad aapko check karna hoga, ki signal quality increase hokar green color me h ya nahi. Agar aapke signal aa jate h. To Auto scan karne par sabhi channels aa jayenge. Agar signal nahi aate to aapko apna antenna move karke dekhna hoga.

Move karne ka ek method hota h. Sabse pahle check kijiye ki aapke area me koi dish antenna laga hua h kya? Agar DISH TV ya DD FREE DISH laga hua h to uski direction me hi aapko apna antenna set karna h. Aapko idea se same direction se start karna h. Then antenna ko halka sa right me kijiye or dheere-dheere up down karke dekhiye ki signal aaye ki nahi. Agar signal nahi mile to halka sa fir se right kar ke up down kijiye. Aise hi process karte rahiye. Agar Right side me nahi ho raha ho to Left side me Antenna ko move karke check kijiye.

Aisa karne se DD FREE DISH no signal problem solve ho jayegi. Jaise hi Signal mil jate h to apne box ko auto scan kijiye. Agar koi channel nahi milta to Manually Trans Frequency ko add karke scan kijiye. All Trans Frequency list ko yaha TOUCH karke dekha ja sakta h.

DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM in LNB –

Below di gayi picture ko dhyan se dekhe, Jisme aapko 2 type ke signal dekhne ko milenge.

Jisme 1st h Signal Intensity or 2nd h Signal Quality. Jab aap apni cable ko LNB or Set Top Box se connect kar doge, to Signal Intensity Increase hoti nazar aayegi. Above picture me Signal Intensity 87% show ho rahi h. Jiska matlab h ki LNB ko sahi se power mil rahi h, or LNB sahi work kar rahi h. Agar aapke case me Signal Intensity 8% to 20% h ya Fluctuate kar rahi h, to aapki wire LNB or Set top box se proper connect nahi h. Ya aisa bhi ho sakta h, ki aapki LNB dead ho chuki h. Yaha par aapko LNB bhi change karni pad sakti h.

DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM IN STB –

No signal ki problem Set top box ki Power suply ki kami se bhi ho sakti h. Agar aapne above sabhi setting kar li h, or fir bhi aapke signal nahi mil rahe. Iska bada reason POWER SUPPLY ka faulty hona ho sakta h. Aap market se ek new supply purchase karke apne set top box me replace kar sakte ho. Jiski vajah se bhi aapke dd free dish no signal problem ka solution ho jayega. Iske regarding YOUTUBE par aapko video bhi mil jayegi. Jisko dekhne ke liye yaha TOUCH kare.

DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM solution post me aapko help mili ho to LIKE jarur kare. Agar abhi bhi problem bani hui h to below comment jarur kare. Taaki aapki help ki ja sake.

DD FREE DISH NO SIGNAL PROBLEM

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *