DD FREE DISH SATELLITE KO KAISE ADD KARE
DD FREE DISH ko blind scan Mpeg4 box me kaise kare. Iski complete information with picture aapko post me mil jayegi. Aaj hum aapko DD FREE DISH ya kisi bhi new satellite ko kaise add karte h iski information denge. Satellite add karke transponder kaise add karte h. Uski complete information post ke last me mil jayegi.
Table of Contents
DD FREE DISH KO ADD KARE
DD FREE DISH satellite ho ya koi dusra satellite. Sabhi ko Mpeg4 box me add karne ka method same h. Step by step folloe kijiye.
1st STEP –
Apne remote se MENU button press kijiye. Jiske baad aapko installation category me enter karna h. Jaha par aapko kai option nazar aayenge. Jaisa ki below picture me dikhaya gya h. Remote ki help se up down key se satellite list par jakar OK press kijiye.
2nd STEP –
Satellite list me aapko bahut se satellite pahle se hi dekhne ko milenge. New satellite add karne ke liye aapko apne remote se Green button press karna hoga. Jaisa ki picture me dikhaya gya h. Mere set top box me green button add karne ke liye h. Ho sakta h ki aapke box me red button add karne ke liye ho. Aap apni screen par show ho rahe RED, GREEN, BLUE, or YELLOW button ke saath information check kar lijiye.
3rd STEP –
Add button press karne ke baad aapko kuchh aisa interface dekhne ko milega. Jaisa ki picture me dikhaya gya h.
Name me aap koi bhi name daal sakte ho. Yaha par name DD FREE DISH, Longitude me 093.0 or Direction me ‘E’ rakh kar save button par remote se OK press kar dena h. OK press karne ke baad aapka satellite save ho jayega. Lekin abhi aapko kuchh setting or karni hogi.
4th STEP –
Jis satellite ko aapne create kiya h, aapko us par remote se INFO ka button press karna h. Jaisa ki below picture me dikhaya gya h.
INFO button press karne ke baad aapke paas jo option aayega. Vaha par aapko kuchh setting karni h. First option Satellite ka h, Jisme aapka banaya hua satellite name nazar aayega. 2nd option LNB Power ka h jo ki ON hi rakhna h. 3rd option LNB Frequency me Universal 9750-10600 kijiye. Baaki option ko vaise hi rahne dijiye. Last option START SEARCH ka milega. Jisko Blind option rakh kar Satellite ko blind scan kar dena h. Jaisa ki picture me dikhaya gya h.
Diye gye step ko follow karne se aapko satellite create karna aa jayega. Agar aap TRANSPONDER ( Frequency ) add karna chahhte ho to yaha TOUCH karke information le sakte ho.
Free.dhis.all.band.karna.ha
sahi se bataye kya problem h