DD FREE DISH 2 CHANNELS MERGE

dd free dish 2 channels merge
Rate this post

01 March ko decide kiya gya ki DD FREE DISH par available 2 channels ko merge kar diya jayega. After the work of two years LOK SABHA or RAJYA SABHA dono ko merge kiya ja raha h. Ab dono ko replace kiya jayega SANSAD TV me. 01 March ko retired IAS Officer Ravi Kapoor ko channel ka chief executive officer appoint kiya gya h.

November 2019 me Lok sabha speaker OM BIRLA, or rajya sabha chairman VENKAIAH NAIDU. ki discussion ke baad Prasar Bharti ke chairman SURYA PRAKASH ne ek committee banayi thi. Isne apni report February 2020 me report di. Jiske according dono channels par hone wala live telecast continue rahega. Lekin alag channel par telecast karne ki jagah ek channel par service start ki jaye.


Jald hi aapko DD FREE DISH ke platform par LSTV or RSTV ki jagah SANSAD TV nazar aayega. Jiske baad dd free dish ke MPEG2 slots me ek slot vacant rahega. 52nd E Auction ke winner channel ko yaha adjust kiya jayega.

DD FREE DISH 2 CHANNELS MERGE

dd free dish 2 channel merge


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *