G-SAT 17 @ 93e DISH SETTING ON 4 FEET DISH

Rate this post

Aaj hum aapko G-SAT 17 @ 93e satellite ki dish setting ke baare me batane waale h. Ye satellite aapko DD FREE DISH ki direction me hi mil jata h. Jisko track karna bhi bahut hi simple h. Isko track karne ke liye aapke paas kam se kam 4 feet dish honi chahiye. India me iska full coversge h. Agar aap india se outside me ho to aapko iska coverage check karna hoga. Coverage or LNB SKEW check karne ke liye aap www.satbeams.com site par visit kar sakte ho.



SETTING

Jaise DD FREE DISH par hume bilkul free channels dekhne ko milte h. Vaise hi G-SAT 17 93e par sabhi channels aapko free me hi mil jaayenge. Isko set karne ke liye aap dd free dish ki bhi help le sakte ho. Apni 4 feet dish par aap pahle ku band lnb laga lijiye. Fir dd free dish set kar lijiye. Jab dd free dish set ho jaaye to ku band lnb nikaal kar c band lnb laga dijiye. Apne set top box me satellite ko blind scan karenge to aapke sabhi channels scan ho jayenge.

CHANNELS

Agar is satellite par channels ki baat kare to aapko kewal ek tp par hi main main channels mil jaate h. Jo ki haryanvi, U.P., east india, west india, or south ke channel receive ho jaate h. Is par india news ke regional languages me channels aapko milte h. Inke saath saath DD ke jitne bhi channels h wo bhi aapko yaha par milenge. Agar total channels ki baat kare to yaha par 54 ke kareeb channels mil jaate h. Ye satellite aap multi satellite bhi bana sakte h. Iske liye aapke paas ek KU+C BAND lnb honi chahiye.




Jiski help se aap GSAT 17 or DD FREE DISH combine dekh sakte ho or bahut se free channels ka maza le sakte ho. Aise setting kar lene ke baad aap isi antenna par 1-2 ku band ke satellite bhi track kar sakte ho. Agar c band satellite ki baat kare to yaha par aap ASIASAT7 ya INSAT 4B satellite bhi laga sakte ho. Jiski help se aapke free channels ki counting increase ho jayegi. Or aapka maza teen guna ho jaayega.

Agar aap iski dish setting dekhna chahte ho to aap humare youtube channel par visit kar sakte ho. Agar post sahi lage to apne friends ko share karna mat bhulna.

5 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *