DD FREE DISH CHANNEL SCAN KAISE KARE

3.5/5 - (32 votes)

DD FREE DISH CHANNEL SCAN KAISE KARE

Mostly users ko DD FREE DISH ke Channel Scan karna nhi aata. Aaj aap iske baare me step by step information lenge. Market me 2 types ke set top box available h. Mostly users dd free dish ke Mpeg2 box ko use karte h. Lekin ab slowly slowly Mpeg4 box bhi purchase kiye jaane lage h. Aaj mai kewal MPEG2 box me channel kaise scan karte h iski information dene wala hu. MPEG4 box ki information yaha se le sakte h.

1st STEP –

Apne Remote se MENU button Press kijiye. Press karne ke baad aapke saamne category open ho jayegi. Jisme se 3rd no. par PROGRAM SETUP nazar aayega. Remote ki up down key se program setup par aa jaye. Then press ok button. Saw the below picture.

DD FREE DISH CHANNEL SCAN

2nd STEP –
Program setup ok karne par aapko 5 option nazar aayenge. Jisme se 4th number par aapko AUTO SCAN nazar aayega. Remote ki up down key se auto scan par aa jaye. Then press the ok button. Like the below picture.

3rd STEP-

Auto scan par ok karne ke baad aapko kuchh setting karni h. Jaisa ki neeche picture me dikhaya gya h.

DD FREE DISH CHANNEL SCAN

Yaha first option me aapko 5150 – 5150 nazar aayega. Jisko replace karna h 9750 – 9750 me. Scan mode FREE rakhiye. 22k – OFF or DiSEQC ko OFF karke apne remote button se OK press kijiye. OK press karte hi aapke saamne kuchh aisa interface nazar aayega.

DD FREE DISH CHANNEL SCAN

Yaha par aapko ek progress nazar aayegi. Isko 100% tak complete hone dijiye. Jaise hi ye 100% ho jayegi to aapko dd free dish ke sabhi mpeg2 format ke channels receive ho jayenge. MPEG2 RECEIVER me dd free dish ke kewal 88 channels hi mil paate h. Jabki ek MPEG4 set top box me sabhi 110 channels mil jaate h.

Yaha tak ki RADIO ke kuchh best channels bhi kewal ek MPEG4 box me hi receive kiye ja sakte h.

DD FREE DISH CHANNEL SCAN KAISE KARE

5 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *