DD FREE DISH MPEG4 SET TOP BOX SCANNING STEP

3.7/5 - (7 votes)

DD FREE DISH ke MPEG4 box ko kaise scan karte h. Mostly users ko iske baare me nhi pata. Lekin aaj is post ko read karne se aapko complete information mil jayegi. Yaha par aapko picture ke saath detail me bataya gya h. DD FREE DISH ke users aaj bhi MPEG2 set top box use karte h. Agar aap Mpeg2 me scan karna chahte ho to detail ke liye yaha TOUCH kijiye.

Mpeg4 set top box kisi bhi company ka ho sabhi me process same hoti h. Agar aap DD FREE DISH ke channels ko scan karna chahte ho to below steps ko follow kijiye.

1st STEP

Sabse pahle apne remote ke MENU button ko press kijiye. Jiske baad aapko menu ki category nazar aa jayengi. Aapko INSTALLATION category select karni h. Jaha par aapko 5-6 option nazar aayenge. Jinme se aapko satellite list par cursor lakar remote se OK button press karna h. Look the below picture.

DD FREE DISH MPEG4 BOX SCAN

2nd STEP

Satellite list open karne ke baad aapko bahut se satellite name nazar aayenge. Jaisa ki below picture me dikhaya gya h.

dd free dish mpeg4 box scan

List me agar aapko NSS6 ka option mile to remote ki up down key se nss6 ko select kare. Select karne ke baad remote ke blue button ko press kijiye. Jisme satellite search ka option open ho jayega. Detail ke liye below picture ko dekhe.

dd free dish mpeg4 box scan

3rd STEP

Mode me diye gaye option me MODE ko PRESET se BLIND kar dijiye. FTA Only option ko YES me convert kijiye.. TV/RADIO option ko ALL rakhe. NIT SEARCH ko NO rahne dijiye. Last me aapko SEARCH ka button milega. Isko remote se OK kar dijiye.

Jaise hi aap ok karenge to aapke dd free dish ke sabhi channels scan hone start ho jayenge. Jaisa ki below picture me dikhaya gya h.

dd free dish mpeg4 box scan

All channels scan hone ke baad SAVE ka option nazar aayega. Remote ke OK button se sabhi channels ko save kar dijiye. Ab aap apne MPEG4 set top box par sabhi dd free dish ke channels ko enjoy kar sakoge. Next post me hum aapko TRANSPONDER add karne ka method batayenge.

POST KO LIKE SHARE JARUR KARNA. AGAR AAPKA KOI QUESTION H TO COMMENT BOX ME LIKH KAR HUME SEND KAR SAKTE H.

5 Comments

  1. Thank you so much I was looking for this article because I couldn’t watch news 24 and tha ka to you for writing this.

    • dd free dish par aap apni choice ke channels nahi dekh sakte or na hi add kar sakte ho. Yaha kewal vahi channel milega jo Prasar Bharti ko monthly payment dega

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *