ASIASAT 7 @ 105e DISH SETTING ON 4 FEET DISH

asiasat 7
Rate this post

Aaj hum aapko ASIASAT 7 @ 105e satellite ki dish setting ke baare me batane waale h. Isko track karne ke liye aapke paas kam se kam 4 feet dish honi chahiye. Vaise isko 2 feet antenna par C BAND SACALLER RING LNB ke saath bhi track kiya ja sakta h. Lekin jab hum is satellite ko 2 feet par set karte h. to bahut hi kam channel gain kar paate h. Agar aapke paas 3 feet antenna ho to aap 2 feet se better channel receive kar paoge. Or 4 feet dish ki baat kare to aapko kareeb 360 channels receive ho jaate h.

Mai aapko ASIASAT 7 ke liye kam se kam 4 feet dish recommend karunga. Agar aap 6 feet par is satellite ko track karte ho to aapko sabhi channels receive ho jaayenge. 6 feet dish par 420 ke kareeb channels milte h jinme se free or paid mode par dekhne ko milenge.


Agar aap dish setting karne me new ho to mai aapko suggest karunga. ki play store se koi bhi ek aisi app download kar lijiye. Jiski help se aapko satellite ki kewal direction mil jaayegi. Ek baar jab direction mil jaaye to aap apne anteena ko halka halka sa left right or up down karke dekhiye. Satellite track karne ke liye strong tp yaha TOUCH karne se mil jayegi.

ASIASAT7 LNB SKEW or DISH SIZE

Agar aap DD FREE DISH set karna jaante ho, to ye satellite aapko left me receive ho jayega. Kewal aapko dish ke back me khade hokar left or thoda sa down me kar dena h. Agar lnb skew dekhna h to satbeams.com site se aap apni location select karke dekh sakte ho. Vaha par aap sabhi satellites ke lnb skew or dish size ke baare me information le sakte ho.




One Comment on “ASIASAT 7 @ 105e DISH SETTING ON 4 FEET DISH”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *