CARTOON CHANNELS FREE 2 AIR

Rate this post

HELLO FRIENDS,

Free to air channels me free to air users, cartoon channels ko kaafi miss karte h. Aaj hum aapke liye FREE TO AIR milne waale channels ke baare me batane waale h. Yaha par hum C BAND or KU BAND dono ke baare me janenge.

Sabse pahle hum DD FREE DISH ko le lete h. Jaha par vaise to koi bhi cartoon ka channel nhi h. Lekin fir bhi 1-2 channels par aapko cartoon series dekhne ko mil jaati h. Jinme BIG MAGIC or kai baar DD NATIONAL par dekhne ko mil jaate h.




Next satellite h ASIASAT7 @ 105e jaha par aapko 2 cartoon channels mil jaate h. Jinme 1st channel h POP TV ke name se. Jo ki aapko ye channel hindi language me dekhne ko mil jaayega. Iska transponder h 4176 H 2814.Inko kewal MPEG4 box me dekh sakte ho.




Iske saath saath ek channel or h CINEMACHI KIDS ke name se. Lekin yaha par ye channel aapko hindi me nhi milega. Yaha par agar aap english jaante ho to ye channel dekh sakte ho. Jiska transponder h 3903 V 2962. Ye satellite C BAND ka h. Jisko kam se kam 4 feet dish par dekha ja sakta h.



Next free to air channel h DISNEY. Jo ki aapko TURKSAT @ 42e direction me milega. Yaha par iski jo language h wo aapko turki or english me milegi. Turki language shayad aapko samjh naa aaye lekin english ke liye aap isko track kar sakte ho. Jiska transponder h. 12422 H 30000.




Baaki satellite par aapko or bhi kai channels mil jaate h. Lekin sabhi other language me hi milenge.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *