DD FREE DISH LNB SETTING FOR BEGINNERS

3.7/5 - (29 votes)

DD FREE DISH ke liye mostly users ko LNB Setting karni nhi aati. Vaise bhi agar aap koi bhi satellite set karna chahte ho, to sabse pahle LNB Skew set karna bahut jaruri h. Agar aapne lnb ko sahi se set kar liya to aapko milne wale sabhi Horizontal or Vertical transponder receive ho jayenge. Sahi information ke liye aapko sabse pahle apne area ke according lnb skew check karna hoga.

Pahle hum yaha par DD FREE DISH ki LNB Setting ki baat karenge. All india me aapko dd free dish par lnb skew -20 se -30 degree rakhna hota h. Jaisa ki below picture me dikhaya gya h ki ye abhi 0 degree par set h.

dd free dish lnb skew

LNB ko ab thoda rotate kijiye jaise below picture me dikhaya gya h.

dd free dish lnb setting

dd free dish lnb setting

Last picture ki tarah hi aapko apni lnb set karni h. Agar aise lnb setting karte ho to aapko sabhi transponder par signal receive ho jayenge. Mostly users ki lnb setting me problem hoti h. Jiski vajah se unke ya to signal hi nhi aate ya 1-2 transponder par channels mil jate h. Kabhi bhi agar koi satellite set karte ho to sabse pahle LNB SKEW set karna jaruri h.

Agar aap apne area ke according lnb skew check karna chahte ho to satbeams.com site par jaka 1st satellite select karna h. Then map par apni location select kijiye. Jis se aapko left hand side me all information mil jayegi.

6 thoughts on “DD FREE DISH LNB SETTING FOR BEGINNERS”

  1. લીરીપ બોક્સ મે 30 ચેનલ આ રહે હૈ

    Reply

Leave a Comment