G-SAT 30 SATELLITE NEW UPDATES

Rate this post

HELLO FRIENDS,

GSAT 30 satellite 16 January ko launch kiya gya tha. Jisko 83e direction me stable karne ke liye launch kiya gya. Iski life 15 years planned ki gyi h. Jisme 12 ku band or 12 c band ke transponder ki service milne waali h.


Currently INSAT 4B jo ki 83e direction se sabhi ko service provide karwa raha tha. Ab band kar diya gya h. Jitne bhi transponder insat 4b satellite par the wo sabhi shift ho chuke h GSAT 30 satellite par. Iski information aap LYNGSAT website par bhi dekh sakte ho.


Lyngsat ke according isko shift kiya gya h 09 January 2020 ko. Jaha par hume INSAT 4B satellite se bahut kam signal dekhne ko mil rahe the. Vahi baat kare GSAT 30 satellite ki. Abhi bhi proper signal nhi mil rahe h. Jitne signal pahle insat 4a se milte the, utne abhi tak dekhne ko nhi mile.



Agar GSAT30 satellite ke coverage ki baat kare to kaafi wide range me hume milta h. Neeche iska coverage map bhi dekha ja sakta h.



Signal me kuchh improvement jarur mili h. Lekin jaise signal milne chahiye the vaise abhi tak nhi mil paaye. Mai agar 6 feet dish ki baat karu to mujhe currently 150 ke kareeb hi channel scan hote h. 4 feet par abhi proper channel receive nhi honge.




Iske regarding agar or koi information mili to aapko jankari jarur di jayegi.


4 Comments

    • If u have a minimum 6 feet antenna, then u get these channels. U can check all frequency from lyngsat.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *