KU BAND INTELSAT 17 @ 66e SETTING & CHANNELS LIST

Rate this post

HELLO FRIENDS,

Aap sabhi jaante honge ki hume 66e me intelsat 17 satellite milta h. Lekin mostly indians ne C BAND ke baare me hi suna hoga. Aaj mai aapko 66e ku band satellite ke baare me batane wala hu. Isko kuchh area me 2 feet par track kiya ja sakta h.



Dish setting ke liye ya to aap AMOS 4 satellite set kar sakte ho. Jo ki bilkul 65e me milta h. Agar coverage ho to aap dono satellite ko ek hi LNB se set kar sakte ho. Jis area me amos 4 ka coverage na ho to wo direct INTELSAT 17 ka transponder add karke track kar sakta h.




Yadi aapne DD FREE DISH set kiya hua h. To aapko apne antenna ko thoda sa upper karke right side me karna h. Jab DIRECTION ki knowledge nhi ho, to aap kisi bhi ANTENNA SETTING APP use kar sakte ho. Jis se direction ka idea lagaya ja sakta h.

Setting karne ke baad is satellite par aapko 7 channels free to air dekhne ko milenge. Ye sab coverage area par depend karta h. Channel list me aapko ⇓ channels mil jaayenge. NOTE THIS TP 12609 V 10500




  1. TUSMO TV,
  2. DALSAN TV,
  3. MOGADISHU CABLE TV,
  4. OMN
  5. ZEE AFLAM
  6. SNTV
  7. ZEE ALWAN

 

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *