52nd E-AUCTION me NEWS24 Channel DD FREE DISH ke Mpeg2 slot par winner nhi ban saka. Jitne bhi E-AUCTION ke winner channels the, wo sab 01 April se add kiye ja chuke h. Lekin sabhi new channels me MPEG2 users News24 channel ko miss kar rahe h. Sabhi NEWS24 ko dd free dish par dekhna chahte h. Aap news24 channel ko dd free dish ke platform par dekh sakte ho.
Iske liye aapke paas ek MPEG4 box hona jaruri h. Mpeg2 box me ye channel nhi dekha ja sakta. Jin users ke paas Mpeg4 box h, wo sabhi apne box ko retune kijiye. MPEG4 box ko kaise retune kare, yaha se dekh sakte ho. 53rd E-AUCTION me participate kar News24 winner raha. Jisko 01 April se DD FREE DISH ke MPEG4 slot me add kar diya gya tha. Agar aap ek MPEG4 box purchase karna chahte ho to yaha TOUCH karke dekh sakte ho.
DD FREE DISH ki sabhi frequency me kewal ek frequency hi Mpeg4 slots ke liye dekhne ko milti h. Jaha par total 22 channels dekhe ja sakte h. Jiski trans frequency h 11630 V 30000. Sabhi channels ki list dekhne ke liye yaha TOUCH kijiye. Mpeg4 slots me ek full HD channel bhi dekha ja sakta h. DOORDARSHAN ka DD NATIONAL HD yaha par dekha ja sakta h.