SATELLITE COVERAGE AREA KAISE CHECK KARE

Rate this post

HELLO FRIENDS,

Mostly users dish set karte h. Lekin satellite coverage unke area me hota hi nhi h. To kaise pata kare ki aapke area me kis satellite ka coverage h. Agar coverage h to kitne feet dish par aapko konsa satellite receive hoga ? In sabhi problem ka solution aapko yaha par mil jayega. Yaha par LNB ke SKEW ki bhi knowledge mil jayegi.



1st STEP

Sabse pahle aapko ek website visit karni padegi jo h. https://satbeams.com/  Yaha par visit karne ke baad aapko FOOTPRINT par touch karna h. Jaisa ki neeche pic me bhi dikhaya gya h.




2nd STEP

Footprint par touch karne ke baad aapko coverage map nazar aane lagega. Map ke upper side aapko sabhi satellite series me dekhne ko mil jayenge. Jaisa ki neeche pic me bhi dikhaya gya h.




Bas ab aapko apni choice ka satellite select kar lena h. Jaisa ki aapne pic me dekha hoga maine 105e satellite ko select kiya hua h. Map ke LEFT side me aapko ALIVATION, AZIMUTH AND LNB SKEW mil jayega. Isko dekhne ke liye aapko sabse pahle apni location ko check karna padega.



3rd STEP

Iske liye aapko map ko zoom in karna padega. Iske liye aap apni double finger se zoom in or zoom out kar sakte ho. Apni location ko zoom in karne ke baad apni accurate location ko touch karna h. Touch karne ke baad aapko dish size nazar aane lagega. Jaisa ki neeche pic me dikhaya gya h.

Yaha par aapne dekh bhi liya hoga. Jaha par dish size cm. or inch me mil jayegi. LEFT side me aapko lnb skew bhi mil jayega. Jab bhi aap satellite select karenge to aapko map ke upper me kai type ki BEAM mil jayegi. Aapko kewal us beam ko select karna h jiska coverage aapke area me ho.

Agar koi or problem ho to aap comment karke hume inform kar sakte ho.




Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *