SUN OUTAGE SE SIGNAL PROBLEM

Rate this post

Kai baar TV Screen par ek msg dekha jata h. THIS TRANSMISSION IS INTERRUPTED BY A SUN OUTAGE. Jiska effect 05 se 15 minutes tak dekhne ko milta h. Agar aapke signal kam hone lage ya band ho jaye. To isme aapke box ya antenna ki problem nhi h. 5 se 15 minutes wait karke dekhiye. Signal automatic mil jayenge.

Ab jaan lete h ki aisa kyo hota h. Ye sab sun outage ki vajah se dekhne ko milta h. Ye SUN OUTAGE kya h.


Saal me ye 2 baar dekhne ko milta h. Ek February to March ke beech me, Dusra September to October ke beech me. Abhi iska time 05 Oct se 20 Oct ke beech rahega. Ye problem tab aati h jab SUN kisi Satellite ke bilkul back me se hokar gujarta h. Jiska time 05 se 15 minutes tak ho sakta h. Jiske dauran aapke signal me problem dekhne ko mil sakti h.

Sabhi satellite or channels par iska effect alag alag time par hota h. Ye effect morning me 11.00 se evening me 05.30 ke beech ho sakta h. Aisa effect aap kewal din me hi dekh paoge. Night me aisa kuchh nhi hoga. Agar aapke signal diye gye time se pahle ya baad me problem creat karte h. To iska koi or reason ho sakta h. DD FREE DISH par aapko sun outage ka koi notification nhi milta. Jabki paid dth par ek notification se aapko time or date bhi show kar di jaati h.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *