WATAN 2 CHANNEL DEKHE 2 FEET ANTENNA PAR

Rate this post

HELLO FRIENDS,

Ek time tha jab WATAN TV ke sabhi diwane the. Lekin jaise hi isko dusre satellite par change kiya gya to iske signal india ke bahut se area se band ho gye. Agar aap isko set karna chahte ho to post ko sahi se samajh le. Pahle isko 53e direction me gain kiya jata tha. Fir jab satellite change kiya to iski direction 52e monacosat kar di gyi. Ab fir se isko ek alag beam par daal diya gya h.



Jisko india ke area me 2 feet dish par aap track kar sakte ho. Yaha par iska name change kar diya gya h. Pahle iska name WATAN TV tha. Lekin yaha par ab isko aap WATAN 2 ke name se dekh paaoge. Mai haryana me panipat se hu. Jaha par isko maine 2 feet par set kiya hua h. Isko set karne ke liye aapko sabse pahle yahsat satellite set karna padega. ALL STRONG TP IS HERE




Agar aapke area me yahsat ke signal kam ho, to aap sabse pahle IFILM2 channel ko track kar sakte ho. Jiska transponder h 11626 H 2278 Ek baar isko set kar le to aap blind scan karke yahsat ke channel set kar sakte ho.




WATAN 2 DETAIL

YAHSAT set kar lene ke baad ,WATAN TV ko set karne ke liye aapko sabse pahle transponder add karna padega. jo h 11505 H 1000 Ho sakta h ki yadi aap satellite ko BLIND SCAN karo to WATAN 2 channel aapki channel list me naa aye. Kyoki iska jo transponder h us par signal late green hote h. Aap watan 2 ki tp ko apni tp list me add kar le. or signal green hone ke liye 2-4 second ka wait kijiye. jaise hi is TP par signal mil jaaye to apni tp ko scan kar dijiye. Aapka WATAN 2 channel chalne lagega. Coverage map detail below ⇓⇓




Agar iske coverage map ki baat kare to INDIA me iska coverage aapko 2 feet par J&K, H.P, PUNJAB, HARYANA, RAJASTHAN, DELHI me track kiya ja sakta h. Baaki jo UP, MP ka area h vaha par 4, 6 or 8 feet offset dish require h.East india me isko track nhi kiya ja sakta. Ye ek HD channel h jo ki kewal mpeg4 box me dekha ja sakta h. THANKS

 



 

One Comment on “WATAN 2 CHANNEL DEKHE 2 FEET ANTENNA PAR”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *