Prasar Bharti ne DD Free Dish MPEG2 E Auction announce kar diya hai. Jo ki 85th annual e auction rahega. Jisme kisi bhi category ka channel participate kar sakta hai. Jo bhi channel 85th e auction me winner rahega, Usko 01 year ka licence mil jayega. Jo ki March 2026 tak rahega.
Table of Contents
DD Free Dish MPEG2 E Auction Date –
7th Annual 85th E Auction ki start kiya jayega 10 February se. Jiske kai round hone wale hai. Iske winner channels ki information time to time hum aapko dete rahenge. Kai round hone ki vajah se 85 e auction me kai dino ka time lag jayega. Jo bhi winner channel hoga usko 01 april se hi dd free dish par add kiya jayega.
DD Free Dish MPEG2 E Auction Bucket –
Mpeg2 slots ko agar hum dekhe to yaha par abhi tak total 64 Private channels ke liye slots available hai. Agar participate karne wale channels jyada ho gaye to Doordarshan ke channels ko adjust kiya ja sakta hai.
Yaha par total 06 bucket banaye gaye hai. Jiski complete detail aap yaha TOUCH karke dekh sakte ho. Is se judi information hum aapko pahle hi de chuke hai.
How Many Channels Will Be Added On DD Free Dish 2025 –
Total channels ki baat kare to Prasar Bharti ke announcement ke according 98 se 100 tak private channels DD Free Dish par dekhne ko milne wale hai. Yaha par hum total channels ki baat kar rahe hai. Jinme MPEG2 or MPEG4 dono ke slots include hai. Agar MPEG2 ki baat kare to filhaal yaha par kewal 64 channels hi milenge.
DD Free Dish MPEG2 E Auction Last Date –
7th Annual 85 E Auction for MPEG2 slots ke liye participate karne ki last date 4th February 2025 rakhi gayi hai. Jo bhi broadcaster apne channel ko dd free dish par lana chahta hai. Usko 04 Feb ko 03.00PM tak online application submit karni hogi.
10 February 2025 se e auction ka 1st round start kar diya jayega.