DD FREE DISH COMPLETE INFORMATION

DD FREE DISH ZEE PUNJABI
2.3/5 - (7 votes)

DD FREE DISH kya h? dd free dish kaha se purchase kare? Yaha par konse channels dekhne ko milte h? Jaisi tamaam dd free dish complete information aapko is post me mil jayegi. DD FREE DISH india ka ekmatr FREE TO AIR DTH h. Jisme aapko koi bhi monthly charge nhi dena padta. DOORDARSHAN ne iski starting December 2004 me dd direct+ ke name se ki thi. 2013 me isko rename kiya gya. Currently yaha par aapko total 167 free tv channels dekhne ko milte h.

NORMAL QUESTIONS ABOUT DD FREE DISH –
Q.1 – DD FREE DISH kya h ?

ANS. – DD FREE DISH, PRASAR BHARTI ki ek aisi service h, jo aapko life time free provide hoti h. Yaha par aapko koi monthly ya kisi bhi channel ka subscription nhi lena padta. Yaha par milne wale channels ek online E-AUCTION process ke baad aapko provide karwaye jaate h.

Q.2 – DD FREE DISH par kitne or kon kon se channels free milenge

ANS. – Currently 167 tv or 48 radio channels yaha par milte h. Jinme se 145 MPEG2 or 22 MPEG4 format ke channels h. Agar aapke paas ek MPEG4 free to air receiver h, to aap sabhi channels ko receive kar sakte ho. Currently yaha par kon kon se channels h, unki detail aap yaha TOUCH karke dekh sakte ho.

Q.3 – Kaha se or kaise purchase kare ?

ANS. – Agar aap isko purchase karna chahte ho, to aap apni local market se purchase kar sakte ho. Iske liye aapko kisi bhi company ka 2 feet DISH ANTENNA, ek LNBF. RG6 Cable, one MPEG4 HD SET-TOP-BOX and other accessories purchase karni padti h. For complete accessories and their prices you can touch HERE.

Q.4 – Kya isme hum apni choice ke private channel activate karwa sakte h ?

ANS. – DD FREE DISH india’s free to air service h. Yaha par aapko 40 reserved DOORDARSHAN ke channels milenge. 70 private channels honge, Jinko e-auction process se add kiya jata h. Agar koi private tv channel, dd free dish par aana chahta h. To iske liye us channel ko online process me participate kar, bid lagani hogi. Jis channel ki bid high hogi, vahi channel dd free dish par add kiya jayega. Yaha par aap apni choice ke channels add nhi karwa sakte. Or na hi yaha par koi aisa system diya hota h.

Q.5 – DD FREE DISH me ICAS Technology kya h ?

ANS. – ICAS means Indian Conditional Access System. PRASAR BHARTI ne kuchh companies ko DDFD authorised stb menufecture karne ki permition di hui h. Jinki cost 1450rs with courier charge milti h. Ye stb’s full hd supported nhi h. Agar aap local market se ek MPEG4 stb purchase karte ho to aap DDFD par milne wala ek HD channel bhi dekh sakte ho. Jabki authorised stb me nhi dekha ja sakta.

Q.6 – Subscription Fee etc. ?

ANS.- It is clearly mentioned that there is no subscription or monthly charges. The service is totally free and the only expenditure involved is on one time purchase of receive equipment.

Q.7 – Kis Company ka SET-TOP Box purchase kare ?

ANS.- PRASAR BHARTI kisi bhi company ke stb ko recommend nhi karti. Ye aapki choice par depend karta h ki aap kis quality ka stb afford karte ho. Normally, local market me MPEG2 or MPEG4 stb milte h. Jinka price bhi alag alag milta h. Ek MPEG4 box best rahta h. Kuchh companies ke set-top box link yaha TOUCH karke dekh sakte ho.

Q.8 – Kya Currently Available Channels Life Time Active Rahenge ?

ANS. – Currently available 167 channels me se 40 Doordarshan channels Life Time available rahenge. Lekin 70 private channels Broadcasters par depend karte h ki wo apne channels DD FREE DISH par Launch karna chahte h ya nhi. Private tv channels ke liye online E-AUCTION announce kiya jata h. Jiski complete detail aap yaha TOUCH karke dekh sakte ho.

Q9. – LNBF kon si purchase kare ?

ANS. – PRASAR BHARTI kisi bhi dish antenna or lnbf ko support nhi karta. Ek high quality lnbf local market se 110 to 150rs me available h. Jisko laga kar aap ddfd ke sabhi channels receive kar sakte ho. LNBF position kaise hogi iski complete detail ke liye yaha TOUCH kijiye.

Q.10 – Kya mai apna old AIRTEL/DISH TV/ VIDEOCON/ TATA SKY ki accessories or Set-Top Box use kar sakta hu ?

ANS. – Agar aapke paas kisi bhi company ka DTH connection laga hua h. Or ab aap DDFD lagana chahte h. iske liye aapko kewal ek Free 2 Air MPEG4 box purchase karna hoga. Jisko aap apne existing box ke saath replace kar sake. Aapka old box DDFD ke signal receive nhi kar sakta. Baaki accessories aap DDFD ke liye use kar sakte ho.

Agar aapka koi or question ho to aap hume below comment box me likh kar send kar dijiye.

dd free dish complete information

4 Comments on “DD FREE DISH COMPLETE INFORMATION”

  1. Disney channel nahi aa sakta DD free disk per bata dijiye please mere chota bhai ko bahut pasand hai bata dijiye please

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *